Kanya Rashi Varshikfal 2015 - Rashifal 2015

Kanya rashi ke jatako janiye aapka rashifal 2015. Janiye kanya rashi ka rashifal 2015, love, relationship, business, education, health wise kaisa rahega.Kanya Rashi Varshikfal 2015 - Rashifal 2015.

Kanya Rashi Varshikfal 2015 - Rashifal 2015 

Kanya Rashi 2015
Dhan, Vyapaar aur Karobar: Kanya rashi ke jatako ke liye saal 2015 arthik star per kafi phaldayak sabit hoga. Aamdani ken aye rashte khulenge aur purine karj chuk jayenge. Anawashyak kharcho se bache, anyatha samay aane per apko tunghali se gujrana pad sakata hai. Aprtyashit taur se dhan prapat hone ke sanket hai.

Shiksha aur Kariyar: Saal ka pehla bhag adhyaan ke liye anukul hai. Ucch shiksha ya videsh main shiksha lene ke liye aapko mehnat karni padegi. Saal ke pratham bhag main atyadhik mehnat kare tabhi dusre bhag main apko phal prapat honge. Aaj ka kaam aaj hi nipata le unhe kaal ke bharose naa chodde. Gurujano ke saah rishte madhur honge.

Parivaar: Rashiphal 2015 ke anushar kanya rashi ke jatako ke liye yah saal parivarik star per khushaal sabit ho sakata hai. Parijano aur mitrajano ka shayog milega. Ghar main kisi mangalik karya ke hone ke sanket hai. Shaadi-vivah ya sagai aadi ke yog hai. Ghar main kisi naye sadhsya ka aagman ho sakata hai. Santan paksh ko lekar kuch chinta ho sakati hai. Pita ya kisi vrudh vyakati se vaad-vivad ho sakata hai isliye bado se baat karate samay vani per sayam rakhe.

Pyaar aur Rishte: Prem prasango ke liye varsh 2015 anukul sabit ho sakata hai. Bekar ki jeed aur galafamiyo se khud ko dur rakhkar apne prem jeevan ko aage bhadhane ka prayash kare. Shaadi ke yogya jatako ko jeevansathi mil sakata hai. Vivahik jeevan iss saal samanya rahega. Kisi hill station ya bahar ghumane ka plan ban sakata hai. Saathi ke swasthya ke prati sachet rahe. Apne jeevansathi ke saath kisi bhi mamle main baat karte samay thoda naram rahe.

Swasthya Rashiphal: Iss saal kanya rahsi ke jatako ko apne swasthya ke prati sachet rahane ki jarurat hai. Niyamit dincharya main vyayam aur yog ko hissa banaye. Kisi purani bimari ke karan iss saal aapko pareshan hona pad sakata hai. Bahar ka khana khane se bache.

Kanya Varshik Rashiphal 2015: Samanya taur per saal 2015 aapke liye bade anukul parinaam dene vaal rahega. Parivarik jeevan sukhad rahega. Aap swasth va khushaal rahenge. Lekin vaani per sayam rakhane ki salah hum apko rashiphal 2015 ko dhyan main rakhate hue dena chahenge.

No comments:

Post a Comment